Thursday, June 5, 2014

Khwaabo ki Duniya

Khwabon ki duniya mein sothi hu main, jaagthi hu toh diktha hai yeh jahaan..
Sapno ko chodkar, sitaaro ko bhulakar, uththi hu main ro rokar..

Bahar aathe hi diktha hai har kisi mein ek kushi,
Jhankar unke dil mein dekhu toh dikthi hai sirf pareshaaniya..
Dabbakar apne gham jeethe hai zamaane ko kuch dikhane..

Kat tha hai har din kuch isi tarha, intezaar karthi hu kab kuch ho jaaye mere khayaalo ki tarah..
Jhum uthe mera dil us kushi mein, dekhu main woh muskurahat mere muh pe nahi mere dil mein..

Khojthi hu main us kushi ko jo tha mere mann mein kuch baras pehle..
Par zindagi na kat jaaye isi khoj mein..
Isiliye khwaabo ki duniya se bahaar aakar badi hone lagi hu main..

No comments:

Post a Comment